jaane ye kis ki banai hui taswiren hain
taj sar par hain magar panw mein zanjiren hain
kya meri soch thi kya samne aaya mere
kya mere KHwab the kya KHwab ki tabiren hain
kitne sar hain ki jo gardan-zadani hain ab bhi
hum ki buzdil hain magar hath mein shamshiren hain
chaar jaanib hain siyah raat ke sae lekin
ufuq-e-dil pe nai subh ki tanwiren hain
us ki aankhon ko KHuda yun hi salamat rakkhe
us ki aankhon mein mere KHwab ki tabiren hain
Ghazal
Jaane ye kis ki banai hui taswiren hain
Ameer Qazalbash