jaane wo kaun tha aur kis ko sada deta tha
us se bichhDa hai koi itna pata deta tha
koi kuchh puchhe to kahta ki hawa se bachna
KHud bhi Darta tha bahut sab ko Dara deta tha
us ki aawaz ki be-dagh sa aaina thi
talKH jumla bhi wo kahta to maza deta tha
din-bhar ek ek se wo laDta-jhagaDta bhi bahut
raat ke pichhle-pahar sab ko dua deta tha
wo kisi ka bhi koi nashsha na bujhne deta
dekh leta kahin imkan to hawa deta tha
ek hunar tha ki jise pa ke wo phir kho na saka
ek ek baat ka ehsas naya deta tha
jaane basti ka wo ek moD tha kya us ke liye
sham Dhalte hi wahan shama jala deta tha
ek bhi shaKHs bahut tha ki KHabar rakhta tha
ek tara bhi bahut tha ki sada deta tha
ruKH hawa ka koi jab puchhta us se 'bani'
muTThi-bhar KHak KHala mein wo uDa deta tha
Ghazal
Jaane wo kaun tha aur kis ko sada deta tha
Rajinder Manchanda Bani