jaane wo chiz kya thi jo chamki zamin par
ujle se log aa gire maili zamin par
tere liye wo dhup ka TukDa raha rahe
mere liye to aag si barsi zamin par
suraj ne di jo aag wo suraj mein ghol di
thi rakh is zamin ki so rakh di zamin par
ye bad-hawas jism kisi kaam ka nahin
lagta hai jaise lash ho jalti zamin par
ye fasla nahin hai zarurat ki baat hai
titli hai phul par to hai chinTi zamin par
pahle pahal to main use shair nahin laga
ab sher kah raha hai wo meri zamin par
Ghazal
Jaane wo chiz kya thi jo chamki zamin par
Charagh Barelvi