jaane wale tujhe kab dekh sakun bar-e-digar
raushni aankh ki bah jaegi aansu ban kar
tu hissar-e-dar-o-diwar liye jae kidhar
mera kya hai ki main hun dasht-ba-dil KHana ba-sar
kaun jaane meri tanhai-pasandi kya hai
bas tere zikr ka andesha tere nam ka Dar
yun bhi ashkon ka dhundalka tha sujhai na diya
kis ne luTa dam-e-ruKHsat sar-o-saman-e-safar
kis ne dekha hai mera shahr-e-KHamoshan-e-hayat
dil ki wadi se guzarna hai to aahista guzar
ro raha hun ki tere sath hansa tha barson
hans raha hun ki koi dekh na le dida-e-tar
ye meri zaKHm-e-nasibi ye teri hairani
main ne tere hi ishaara pe to Dali thi sipar
TuT jaega nasha dekh koi nam na le
aankh bhar aaegi is tarah mera jam na bhar
koi gum-gashta har aaghaz-e-safar se pahle
chum leta hai teri yaad ka bhaari patthar
main ne har raat yahi soch ke aansu ponchhe
munh dikhana bhi hai duniya ko ba-hangam-e-sahar
'shaz' ko sabr ata kar ke baDa kaam kiya
us ne kya manga tha kya paya hai ai rabb-e-hunar
Ghazal
Jaane wale tujhe kab dekh sakun bar-e-digar
Shaz Tamkanat