jaane wale na hum us kuche mein aane wale
achchhe aae hamein diwana banane wale
tu salamat rahe dil mein utar aane wale
tere sadqe meri aankhon mein samane wale
ek hum lakh hasinon se ewaz lene ko
ek dil lakh hasin dil ke satane wale
jab mile KHizr mile hum se usi waza ke sath
hae kya log hain ye agle zamane wale
tir-e-mizhgan mein chhide kab jigar-o-dil dekhe
teri nawak to hain be-par ki uDane wale
ban gaya mere liye hashr ka din wasl ki raat
mil gae aaj mujhe mere satane wale
nigah-e-naz idhar hai nigah-e-shauq udhar
hum to bijli ko hain bijli se laDane wale
bandh degi ye hina hath jo rahm aaega
kya bujhaenge lagi aag bujhane wale
bar-e-isyan se mere sath pise aur bhi chaar
dab gae hae janaze ke uThane wale
sath sohbat ke wo sab harf-o-hikayat kiye
sunne wale hain na afsane sunane wale
kam-sini par taras aaya na shab-e-wasl 'riyaz'
uff re bedard hasinon ke satane wale
Ghazal
Jaane wale na hum us kuche mein aane wale
Riyaz Khairabadi