jaane tu kya DhunDh raha hai basti mein virane mein
laila to ai qais milegi dil ke daulat-KHane mein
janam janam ke saton dukh hain us ke mathe par tahrir
apna aap miTana hoga ye tahrir miTane mein
mahfil mein us shaKHs ke hote kaif kahan se aata hai
paimane se aankhon mein ya aankhon se paimane mein
kis ka kis ka haal sunaya tu ne ai afsana-go
hum ne ek tujhi ko DhunDa is sare afsane mein
is basti mein itne ghar the itne chehre itne log
aur kisi ke dar pe na pahuncha aisa hosh diwane mein
Ghazal
Jaane tu kya DhunDh raha hai basti mein virane mein
Ibn e Insha