jaane phir tum se mulaqat kabhi ho ki na ho
khul ke dukh dard ki kuchh baat kabhi ho ki na ho
phir hujum-e-gham-o-jazbaat kabhi ho ki na ho
tum se kahne ko koi baat kabhi ho ki na ho
aaj to ek hi kashti mein hain manjdhaar mein hum
phir ye majburi-e-haalat kabhi ho ki na ho
ahd-e-mazi ke fasane hi suna len tum ko
itni KHamosh koi raat kabhi ho ki na ho
jo jalata hai mere gham ke andheron mein charagh
mere hathon mein wahi hat kabhi ho ki na ho
Ghazal
Jaane phir tum se mulaqat kabhi ho ki na ho
B S Jain Jauhar