اردو हिंदी
Jaane lage hain ab dam-e-sard aasman talak | Shaahi Shayari
jaane lage hain ab dam-e-sard aasman talak

Ghazal

Jaane lage hain ab dam-e-sard aasman talak

Aseer Lakhnawi

;

jaane lage hain ab dam-e-sard aasman talak
ThanDi saDak bani hai yahan se wahan talak

jalte hain gham se jaan-o-dil-o-sina-o-jigar
chaaron taraf hai aag bujhaun kahan talak

bimar ho gaya hun main qaht-e-sharab se
lillah le chalo mujhe pir-e-mughan talak

masjid se dur hai ye dukan mai-farosh ki
aati nahin hai kan mein bang-e-azan talak

nikla jo dam to rahat-o-aram hai 'asir'
aawargi hai jism ki ruh-e-rawan talak