jaane kyun log gham se Darte hain
hum to aalam mein nikharte hain
jo KHushi ke sarab mein gum hain
wo KHushi se hi apni marte hain
gham bhi rakhte hain sath KHushiyon ke
zindagi mein jo rang bharte hain
TuT jate hain sab ghamon ke hisar
moti KHushiyon ke jab bikharte hain
lakh KHushiyan unhen mubarak hon
hum ghamon se hi dil ko bharte hain
Dub jate hain jo kinare par
wo kahan Dub kar ubharte hain
haalat-e-dil bataen hum un ko
kaise din raat ab guzarte hain
khul hi jate hain un pe aib-o-hunar
aaine se jo baat karte hain
aaina dekhta hai hairat se
wo jis andaz se sanwarte hain
kya bharosa hai zindagi ka 'asar'
roz jite hain roz marte hain
Ghazal
Jaane kyun log gham se Darte hain
Asar Akbarabadi