jaane kyun ghar mein mere dasht-o-bayaban chhoD kar
baiThti hain be-sar-o-samaniyan sar joD kar
kitni nazren kitni aasen kitni aawazen yahan
lauT jati hain dar-o-diwar se sar phoD kar
jaane kis ki khoj mein paiham bagule aaj kal
phir rahe hain shahr ki galiyon mein sahra chhoD kar
mujh pe patthar phenkne walon ko tere shahr mein
narm-o-nazuk hath bhi dete hain patthar toD kar
bas raha hun aaj us mahaul mein 'sajid' jahan
log baraaton mein jate hain janaze chhoD kar
Ghazal
Jaane kyun ghar mein mere dasht-o-bayaban chhoD kar
Iqbal Sajid