jaane kyun baaton se jalte hain gile karte hain log
teri meri dosti ke tazkire karte hain log
sang-bari kar rahe hain dusron ke sahn mein
aur chakna-chur apne aaine karte hain log
jin ka dawa tha mudawa hoga sab ke dard ka
ab to un ki zat par bhi tabsire karte hain log
apna ghar raushan ho zulmat mein rahe sara jahan
jaane kin lamhon mein aise faisle karte hain log
har bikharti rut mein jag uThte hain yaadon ke jahan
apne apne be-wafaon ke gile karte hain log
rang hai be-qaid imkan aur KHushbu la-makan
is sarapa rang-o-nikhat se gile karte hain log
Ghazal
Jaane kyun baaton se jalte hain gile karte hain log
Sultan Rashk