jaane kya tazir lagi hai
honTon par zanjir lagi hai
mahki hai diwar ki is par
sajan ki taswir lagi hai
har pal hansne wali laDki
aaj mujhe dil-gir lagi hai
aankhon mein us ke partaw hain
dil mein jo taswir lagi hai
paDhne walo tum ye batao
kaisi ye tahrir lagi hai

Ghazal
Jaane kya tazir lagi hai
Noman Farooq