jaane kya soch ke us ne sitam ijad kiya
KHud bhi barbaad hua mujh ko bhi barbaad kiya
shama ki tarah jale hum teri mahfil mein magar
tu ne kis waqt hamein kaun si shab yaad kiya
jumbish-e-lab ki ijazat hai na izn-e-parwaz
kis liye tu ne mujhe qaid se aazad kiya
shukr hai tu ne mujhe dard ke qabil samjha
teri paiman-shikani ne mera dil shad kiya
hae us shaKHs ki KHatir-shikani hoti hai
jis ne apne ko teri yaad mein barbaad kiya
apni barbaadi pe nazan bhi hun hairan bhi hun
shamen raushan huin jab main ne tujhe yaad kiya
tujh ko ye naz ki to KHaliq-e-naghma hai 'KHayal'
mujh ko ye faKHr ki tu ne mujhe barbaad kiya
Ghazal
Jaane kya soch ke usne sitam ijad kiya
Faiz ul Hasan