jaane kya qimat-e-arbab-e-wafa Thahregi
main agar arz karunga to KHata Thahregi
nok-e-nashtar se khilai gain kaliyan kitni
jaane is shahr ki kya aab-o-hawa Thahregi
raqs-e-parwana ki gardish jo thame aaKHir-e-shab
ahl-e-mahfil ke liye ye bhi ada Thahregi
aaj ke daur mein virane bhi tamir hue
kal ki tahzib KHuda jaaniye kya Thahregi
muddaton baad kisi band dariche ke qarib
kya KHabar thi meri raftar zara Thahregi
teri aawaz mere waste sahra ka sukut
meri KHamoshi rah-o-rasm-e-dua Thahregi
log rahte hain yahan KHali makanon ki tarah
kis ke darwaza pe dastak ki sada Thahregi
'shaz' idhar KHwab ke dariya pe milega koi
ek parchhain sar-e-ab suna Thahregi
Ghazal
Jaane kya qimat-e-arbab-e-wafa Thahregi
Shaz Tamkanat