jaane kya kuchh hai aaj hone ko
ji mera chahta hai rone ko
ek umr aur hath kya aaya
zindagi kya mili thi khone ko
aablon se paTe paDe hain hum
koi nishtar bhi de chubhone ko
dida-e-tar bhi aaj kho aae
us ke aage gae the rone ko
ret muTThi mein bhar ke baiThe hain
hath mein kuchh rahe to khone ko
apni hasti ka haal kya kahiye
hum hue aah kuchh na hone ko
kitne sada hain hum ki baiThe hain
dagh-e-dil aansuon se dhone ko
Ghazal
Jaane kya kuchh hai aaj hone ko
Bilqis Zafirul Hasan