jaane kya hoga har ek dil ko ye dhaDka kya hai
dur tak phaila hua KHauf ka saya kya hai
bahr o bar wadi o sahra mein hai halchal kaisi
ye ufuq-ta-ba-ufuq shor sa barpa kya hai
bain karti hui chalti hai hawa kyun sar-e-sham
dil ka mara koi raaton ko sisakta kya hai
kya hai ye soz-e-darun jis se sulagta hai badan
jo bhaDakta hai dil o jaan mein wo shoala kya hai
dam-ba-dam uThti hain kis yaad ki lahren dil mein
dard rah rah ke ye karwaT si badalta kya hai
kaisi talKHi hai ki nas nas mein basi jati hai
zahr sa koi rag-o-pai mein utarta kya hai
bujh gai sham-e-nazar jab to wo chehra chamka
dil jo Duba hai to ab chand sa nikla kya hai
Ghazal
Jaane kya hoga har ek dil ko ye dhaDka kya hai
Jamal Panipati