اردو हिंदी
Jaane kya hai jise dekho wahi dil-gir lage | Shaahi Shayari
jaane kya hai jise dekho wahi dil-gir lage

Ghazal

Jaane kya hai jise dekho wahi dil-gir lage

Razi Akhtar Shauq

;

jaane kya hai jise dekho wahi dil-gir lage
shahr ka shahr hi ab mo'taqid-e-mir lage

subh aashufta-mizajon ki pareshan-e-suKHani
raat ek mar-e-siyah jaise inan-gir lage

ab to jis aankh ko dekho wahi pathrai hui
ab to jis chehre ko aawaz do taswir lage

jaane kis shahr-e-tilismat mein aa nikla hun
apne qadmon ki sada halqa-e-zanjir lage

yahi maqdur-e-masafat hai ki KHeme jal jaen
yahi maqsum-e-safar hai ki koi tir lage

zindagi bhar jinhen jaan kah ke pukara gaya 'shauq'
wahi sine se mere surat-e-shamshir lage