jaane kya baat hai manus bahut lagta hai
ye jo ek ghair sa is bazm mein aa baiTha hai
umr-bhar tu ne zamane ka kaha mana hai
dil ki aawaz bhi sun dekh to kya kahta hai
mil bhi jae jo koi naw to ab kya hasil
ab to dariya mere darwaze pe aa pahuncha hai
us ne dil jaan ke chheDa use malum na tha
mere pahlu mein dahakta hua angara hai
mera ji jaane hai ya mera KHuda jaane hai
kya suna hai tere is shahr mein kya dekha hai
hae kya dida-wari hai ki sahar-dam ye khula
jis ko hum shama samajhte rahe parwana hai
koi roe to hanso koi hanse to rowo
aaj ke daur mein jine ka yahi rasta hai
mere sine mein KHunuk tirgiyan chhoD gaya
ek aaina ki suraj ki tarah jalta hai
koi basti na koi peD na chashma koi
qafila umr-e-rawan ka ye kahan utra hai
jah-o-mansab ki hawas ho to main kafir 'shohrat'
main sag-e-ku-e-ali hun mera kya kahna hai
Ghazal
Jaane kya baat hai manus bahut lagta hai
Shohrat Bukhari

