jaane kya baat hai kyun garmi-e-bazar nahin
ab koi jins-e-wafa ka bhi KHaridar nahin
log ek shaKHs ko le jate hain maqtal ki taraf
is pe ilzam hai utna ki gunahgar nahin
zindagi zaKHm sahi zaKHm ka darman kije
koi is shahr mein zaKHmon ka KHaridar nahin
paikar-e-sher mein Dhal jae kisi ka chehra
mere izhaar-e-mohabbat ka ye mear nahin
teri ek nichi nazar umr ka sarmaya hai
saqiya main tere saghar ka talabgar nahin
yun bhi hum dard ko pahlu mein chhupa lete hain
mujrim-e-shauq hain ruswa sar-e-bazar nahin
apni marzi se yahan mujh ko baha le jae
tez itni to abhi waqt ki raftar nahin
aap ke dard se rishta hai mere dil ka 'rais'
kaun kahta hai ki main aap ka gham-KHwar nahin

Ghazal
Jaane kya baat hai kyun garmi-e-bazar nahin
Raees Akhtar