jaane kya baat hai hanste hoi Dar jate hain
chalte chalte hue raste mein Thahar jate hain
marne ke liye hathiyar zaruri to nahin
hum to ehsas ki shiddat se hi mar jate hain
nam ke apnon ne ta-umr kiya hai ruswa
ab to Darte hue hum apne bhi ghar jate hain
ye alag baat ki hum KHud hi faramosh karen
kaun kahta hai ki haalat sanwar jate hain
yun na maghrur ho tu apni masihai par
zaKHm ki rasm hai ek rose ye bhar jate hain
jhuT ka sath na dene ki qasam khai thi
phir bhi tere liye hum sach se mukar jate hain
kya qayamat ka ye ahwal tujhe yaad nahin
rui ke gal se patthar bhi bikhar jate hain
lafz ke khel mein mahir the kabhi hum bhi magar
ab to sadiyon yunhi KHamosh guzar jate hain
jo diye shab mein jale un ko sambhaalo 'mumtaz'
sare chaDhte hue suraj to utar jate hain
Ghazal
Jaane kya baat hai hanste hoi Dar jate hain
Mumtaz Malik