jaane kya aisa use mujh mein nazar aaya tha
mujh se milne wo bulandi se utar aaya tha
koi to garmi-e-ehsas se milta us se
itne din baad to wo lauT ke ghar aaya tha
wo mere panw ka chakkar tha ki manzil thi meri
ghum-phir kar wahi har bar khanDar aaya tha
wo mere sath tha sahra ho ki dariya 'farruKH'
us ke hote hue kya lutf-e-safar aaya tha

Ghazal
Jaane kya aisa use mujh mein nazar aaya tha
Farrukh Jafari