jaane kya aaseb tha patthar aate the
raat gae kuchh sae chhat par aate the
subh wo kyari phulon se bhar jati thi
tum jis ki belon mein chhup kar aate the
main jis raste par nikli us raste mein
sahraon ke beach samundar aate the
chand ki dhimi dhimi chap ubharte hi
sare sapne phul pahan kar aate the
is se meri ruh mein utra hi na gaya
raste mein do gahre sagar aate the
KHwabon ke yaqut se poren zaKHmi hain
ras mujhe kab aise zewar aate the

Ghazal
Jaane kya aaseb tha patthar aate the
Ishrat Afreen