jaane kitni der chalegi sath mere chamkili dhup
aane wala mausam lae shayad gili gili dhup
qarya qarya kanp raha hai sard hawa ke jhonkon se
kitne aangan garmaegi tanha ek akeli dhup
chanchal shoKH-ada kirnen to dur disha tak ja pahunchin
baiThi KHud ko kos rahi hai aangan ki sharmili dhup
azmat ki mustahkam choTi shayad us ko ras na aai
har chaukhaT ko chhune nikli shohrat ki rangili dhup
hum ne apni hirs-o-hawas ko baKHshi itni tabani
ab ki sadi mein shayad phaile basti mein zahrili dhup
Ghazal
Jaane kitni der chalegi sath mere chamkili dhup
Yusuf Taqi