jaane kitna jiwan pichhe chhuT gaya anjaane mein
ab to kuchh qatre hain baqi sanson ke paimane mein
apni pyas liye honTon par lauT aae maiKHane mein
kitne tishna-lab baiThe the pahle hi maiKHane mein
kya kya rup liye rishton ne kaise kaise rang bhare
ab to farq nahin kuchh lagta apne aur begane mein
jazbon ki mismar imarat yaadon ke be-jaan khanDar
jaane kyun baiThe hain tanha hum aise virane mein
is basti mein aa kar hum ne kuchh aisa dastur suna
aql ki baaten karne wale honge pagal-KHane mein
itna jaan liya to yaro kaisi bandish unwan ki
apna apna rang bharega har koi afsane mein
takmil-o-taKHliq ka lamha bhaari hai in sadiyon par
jo aabaad nagar ki qismat likh Dalin virane mein
Ghazal
Jaane kitna jiwan pichhe chhuT gaya anjaane mein
Vishvanath Dard