jaane kisi ne kya kaha tez hawa ke shor mein
mujh se suna nahin gaya tez hawa ke shor mein
main bhi tujhe na sun saka tu bhi mujhe na sun saka
tujh se hua mukalima tez hawa ke shor mein
kashtiyon wale be-KHabar baDhte rahe bhanwar ki samt
aur main chiKHta raha tez hawa ke shor mein
meri zaban-e-atishin lau thi mere charagh ki
mera charagh chup na tha tez hawa ke shor mein
jaise KHarosh-e-bahr mein shor-e-parind Dub jae
Dub gai meri sada tez hawa ke shor mein
nauhagaran-e-sham-e-gham tum ne suna nahin magar
kaisa ajib dard tha tez hawa ke shor mein
mere makan ki chhat pe the taer-e-shab Dare Dare
jaise payam-e-marg tha tez hawa ke shor mein
minnat-e-gosh-e-be-hisan kaun uThae ab 'salim'
nauha-e-gham mila diya tez hawa ke shor mein
Ghazal
Jaane kisi ne kya kaha tez hawa ke shor mein
Saleem Ahmed