jaane kis waste dil chashm-e-karam mange hai
zindagi aap se phir dida-e-nam mange hai
hum kahan jaenge ab teri gali se uTh kar
kis ka dil hai jo yahan dair-o-haram mange hai
mujh ko phulon ki hawas hai na to moti ki talash
kasa-e-chashm mera dast-e-karam mange hai
chashm-e-nam ko kisi daman ki tamanna hi sahi
dil-e-betab magar aap ka gham mange hai
jaane kis waste ek shaKHs ki bahki hui chaal
har-qadam aap ke hi naqsh-e-qadam mange hai
koi diwana tamannaon ko zaKHmi pa kar
zindagi-bhar ke liye ranj-o-alam mange hai
aaina-KHanon ki yak-rangi se ukta ke 'rais'
aazar-e-waqt bhi patthar ke sanam mange hai
Ghazal
Jaane kis waste dil chashm-e-karam mange hai
Raees Akhtar