jaane kis samt se hawa aai
bar bar apni hi sada aai
husn bhi hech samne jis ke
mere hisse mein wo bala aai
mujhe sajde kiye farishton ne
kaam mere meri KHata aai
kaise barsi ghaTa samundar par
apni aankhen kahan ganwa aai
jagne ka sawal hi na raha
aaj ki raat nind kya aai
palaT aai umid us dar se
meri hi aabru ganwa aai
sabr hi kar liya to phir 'shahzad'
mere honTon pe kyun dua aai
Ghazal
Jaane kis samt se hawa aai
Shahzad Ahmad