jaane kis saniha-e-dard ke ghammaz rahe
ahd-dar-ahd bikharti hui aawaz rahe
gum hui jati hai tarik KHalaon mein nazar
is ghaDi mere sirhane mera dam-saz rahe
apni pahchan hi kho baiThe hain rafta rafta
apne hi aap se kitne nazar-andaz rahe
na-rasai ka ye dukh bhi to mukammal na hua
hum tere rabt mein aaghaz hi aaghaz rahe
aa ke wapas na gaya koi hawa ka jhonka
TuTte lamhon mein ehsas ke dar baz rahe
Ghazal
Jaane kis saniha-e-dard ke ghammaz rahe
Lutf-ur-rahman