jaane kis moD pe de hijr ki saughat mujhe
par gawara bhi nahin tark-e-mulaqat mujhe
us ka kya jata jo munh pher ke hans bhi deta
KHush-gumani hi sahi rahat-e-jazbaat mujhe
husn bhi husn hai malbus-e-haya hai jab tak
pur-kashish aur nazar aae hijabaat mujhe
farq miTTi ka hai darweshi o sultani mein
warna ye lagte hain parwarda-e-haalat mujhe
abr barsa bhi to bosida makanon se pare
is baras aai to kya de gai barsat mujhe
Ghazal
Jaane kis moD pe de hijr ki saughat mujhe
Syed Amin Ashraf