jaane kis moD judai ki ghaDi aati hai
hijr ki bel munDeron pe chaDhi aati hai
kya KHabar dhup ki aadat ko bigaDa kis ne
bin-bulae mere aangan mein chali aati hai
hijr mein wasl ki babat nahin socha karte
aisa karne se mohabbat mein kami aati hai
jaane kyun wasl ka mausam nahin aane deta
jaane kya us ke KHazane mein kami aati hai
dard ka koi to rishta hai qalam se 'noman'
kuchh bhi likhta hun to aankhon mein nami aati hai

Ghazal
Jaane kis moD judai ki ghaDi aati hai
Noman Farooq