jaane kis kis ki tawajjoh ka tamasha dekha
toD kar aaina jab apna hi chehra dekha
aa lage gor kinare to mila muzhda-e-wasl
raat Dubi to ubharta hua tara dekha
ek aansu mein hue gharq do-alam ke sitam
ye samundar to tere gham se bhi gahra dekha
yaad aata nahin kuchh bhi ki yahan duniya mein
kaun si chiz nahin dekhi magar kya dekha
ishq ke dagh hue mahw is aashob mein sab
TimTimata sa charagh-e-ruKH-e-zeba dekha
is ghalat-bini ka koi to natija hota
umr bhar bahr-e-bala-KHez ko sahra dekha
koi is KHwab ki tabir badal de ya-rab
ghar mein bahta hua ek KHun ka dariya dekha
kho gae bhiD mein duniya ki par ab tak 'shohrat'
sansana uTTha hai ji jab koi un sa dekha
Ghazal
Jaane kis kis ki tawajjoh ka tamasha dekha
Shohrat Bukhari

