jaane kis ki aahaT ka intizar karta hai
TuT to chuka hai wo dekho kab bikharta hai
zaKHm chahe jaisa ho ek din to bharta hai
aap soe hote hain waqt kaam karta hai
roz chhup ke takta hai pyasi pyasi nazron se
us ke ghar ke aage se dariya jab guzarta hai
dil ka kya karun yaro manta nahin meri
apne dil ki sunta hai apne man ki karta hai
dil bujha bujha ho to kya bura hai rone mein
barishon ke baad anjum aasman nikharta hai
Ghazal
Jaane kis ki aahaT ka intizar karta hai
Anjum Ludhianvi