اردو हिंदी
Jaane kis KHwab ka sayyal nasha hun main bhi | Shaahi Shayari
jaane kis KHwab ka sayyal nasha hun main bhi

Ghazal

Jaane kis KHwab ka sayyal nasha hun main bhi

Raj Narayan Raaz

;

jaane kis KHwab ka sayyal nasha hun main bhi
ujle mausam ki tarah ek faza hun main bhi

han dhanak TuT ke bikhri thi mere bistar par
ai sukun-lams tere sath jiya hun main bhi

rah pamal thi chhoD aaya hun sathi sote
kori miTTi ka gunahgar hua hun main bhi

kitna sarkash tha hawaon ne saza di kaisi
kaTh ka murgh hun ab baad-numa hun main bhi

kaisi basti hai makin jis ke hain buDhe bachche
kya muqaddar hai kahan aa ke ruka hun main bhi

ek be-chehra si maKHluq hai chaaron jaanib
aaino dekho mujhe masKH hua hun main bhi

hath shamshir pe hai zehn pas-o-pesh mein hai
'raaz' kin yaron ke ma-bain khaDa hun main bhi