jaane kaise main sada be-baal-o-par uDta raha
doston ke shahar mein misl-e-KHabar uDta raha
umr ki ye tez-gami aur phir tera KHayal
ek saya sa pas-e-gard-e-safar uDta raha
kaise kaise imtihan tu ne liye ai zindagi
phir bhi main bazu-shikasta umr-bhar uDta raha
jaane kya samjha ke us ko le gai pagal hawa
der tak patta shajar se TuT kar uDta raha
panw wahshat ne pakaD rakhe the sahra dekh kar
aur tasawwur jaanib-e-diwar-o-dar uDta raha
ek parinda amn ka pala tha hum ne pyar se
lakh kaTe baal-o-par tum ne magar uDta raha
muntazir is bar bhi aankhen rahen apni 'ziya'
koi chehra baadalon ke dosh par uDta raha
Ghazal
Jaane kaise main sada be-baal-o-par uDta raha
Zia Faruqi