اردو हिंदी
Jaane kaise log the yaad aae kam jaane ke baad | Shaahi Shayari
jaane kaise log the yaad aae kam jaane ke baad

Ghazal

Jaane kaise log the yaad aae kam jaane ke baad

Jamal Owaisi

;

jaane kaise log the yaad aae kam jaane ke baad
aib sare khul gae marhum kahlane ke baad

chand ka haala meri aankhon ka jala ban gaya
kuchh nazar aaya na phir tere nazar aane ke baad

aadamiyat ke sabhi paimane ho jate hain pash
bhuk aisi jagti hai peT bhar jaane ke baad

us ne ek ek lafz ka paisa kiya mujh se wasul
kal ki shab milad mein taqrir farmane ke baad

main ne ta-hadd-e-nazar dekha koi monis na tha
dopahar ke waqt barqi-mauj lahrane ke baad