jaane kaise honge aansu bahte hain to bahne do
bhuli-bisri baat purani kahte hain to kahne do
hum banjaron ko na koi bandh saka zanjiron mein
aaj yahan kal wahan bhaTakte rahte hain to rahne do
muflis ki to majburi hai sardi garmi barish kya
roTi ki KHatir sare gham sahte hain to sahne do
apne sukh sang mere dukh ko sath kahan le jaoge
alag alag wo ek duje se rahte hain to rahne do
KHun gharibon ka daman mein apne na lagne denge
sapnon ke gar mahal hamare Dahte hain to Dahne do
pyar mein un ke sudh-budh kho kar is tarah behaal hue
log hamein aashiq aawara kahte hain to kahne do
mast magan hum apni dhun mein rahte hain diwanon sa
jaane kitne hum ko pagal kahte hain to kahne do
Ghazal
Jaane kaise honge aansu bahte hain to bahne do
Salim Raza Rewa