jaane kaisa ye nur hai mujh mein
chand koi zarur hai mujh mein
koi paDhta nahin kabhi us ko
wo jo bainassutur hai mujh mein
jaane kis mein hai aajizi meri
jaane kis ka ghurur hai mujh mein
kahin bahar nazar nahin aata
mera dushman zarur hai mujh mein
kirchiyan chubh rahi hain sine mein
aaina chur chur hai mujh mein
muddaton tak safar mein rah kar bhi
koi manzil se dur hai mujh mein
muntazir hai kisi tajalli ka
ek jo koh-e-tur hai mujh mein
main ye mahsus kar raha hun 'kamal'
koi mujh se hi dur hai mujh mein
Ghazal
Jaane kaisa ye nur hai mujh mein
Ahmad Kamal Hashmi