jaane in aankhon ne us dasht mein dekha kya kya
mere sine mein koi shor uTha tha kya kya
aaj tak parda-e-tabir se bahar na mila
aur hota hai shab-o-roz tamasha kya kya
shabnam-asar bhala chain se baiTha kab hun
KHud ko phailata raha aankh mein sahra kya kya
han wahi rang jo tartib na paya mujh mein
apni aankhon mein wo karta raha gahra kya kya
KHub hote hi rahe sab KHush-o-na-KHush mujh mein
mujh se sharminda raha zaKHm-o-mudawa kya kya
hath pairon mein kisi shauq ki halchal thi bahut
dekhta hi raha main jaanib-e-sahra kya kya
us ki be-mehri ka shikwa nahin hoga mujh se
main bhi rakhta tha kabhi dil mein irada kya kya
dur rahta hai magar jumbish-e-lab bos-o-kanar
Dubta rahta hai dariya mein kinara kya kya
Ghazal
Jaane in aankhon ne us dasht mein dekha kya kya
Abul Hasanat Haqqi