اردو हिंदी
Jaane do in naghmon ko aahang-e-shikast-e-saz na samjho | Shaahi Shayari
jaane do in naghmon ko aahang-e-shikast-e-saz na samjho

Ghazal

Jaane do in naghmon ko aahang-e-shikast-e-saz na samjho

Qamar Jameel

;

jaane do in naghmon ko aahang-e-shikast-e-saz na samjho
dard-bhari aawaz to sun lo dard-bhari aawaz na samjho

jao bahaaro jao jao viranon ke pas na aao
aalam-e-shauq-e-asuda ko hasrat ka ghammaz na samjho

zaKHm lagana aata hai in phulon se nazuk logon ko bhi
behtar hai in phul se nazuk logon ke andaz na samjho

KHamoshi ke sahraon mein bhaTke hue sangit na jaano
tar-e-nafas ke naghme hain ye in ko meri aawaz na samjho