jaane de Tuk chaman mein mujhe ai saba sarak
kyun chheDti hai tu mujhe na-ashna sarak
jaise andheri raat mein bijli chamak gai
us ruKH se shab gai jo wo zulf-e-dota sarak
aasar-e-marg mujh mein huwaida hue magar
jab pas se gae mere sab aashna sarak
kahta hai waqt-e-naza mariz us ka us se yun
lagne de meri aankh tu is dam zara sarak
mayyat se meri guzre hai jis dam wo baad-e-qatl
lasha kahe hai KHun se daman bacha sarak
poron pe Dore bandhe hain us par shuur ne
ta us ke funduqon ki na jawe hina sarak
shab iKHtilat se wo mere kya KHafa hua
had se gai ziyaada jo angusht-e-pa sarak
dhaDke hai be-tarah se ye pahlu mein raat din
Darta hun zaKHm-e-dil ki na jawe dawa sarak
karne de mere KHun ko aaram KHak mein
ai shor-e-hashr us ko abhi mat jaga sarak
ye kya ghazab hua ki na KHanjar laga na tir
pahlu se aaphi aap mera dil gaya sarak
KHwab-e-adam se main abhi chaunka hun dur ho
ai subh-e-gham na apna mujhe munh dikha sarak
pichhe mere paDa hai tu kyun ghar ki rah le
ruswa kare ga kya mujhe bahr-e-KHuda sarak
kya be-haya hai jo nahin Talta tu 'mushafi'
sau bar main ne tujh ko diwane kaha sarak
Ghazal
Jaane de Tuk chaman mein mujhe ai saba sarak
Mushafi Ghulam Hamdani

