jaane aaya tha kyun makan se main
kya KHaridunga is dukan se main
ho gaya apni hi ana se halak
dab gaya apni hi chaTan se main
ek rangin si baghawat par
kaT gaya sare KHandan se main
roz baaton ke tir chhoDta hun
apne ajdad ki kaman se main
mangta hun kabhi laraz ke dua
kabhi laDta hun aasman se main
ai mere dost thak na jaun kahin
teri aawaz ki takan se main
Darta rahta hun KHud bhi 'azhar'-KHan
apne andar ke is paThan se main
Ghazal
Jaane aaya tha kyun makan se main
Azhar Inayati