jaanan pe ji nisar hua kya baja hua
us rah mein ghubar hua kya baja hua
muddat se raaz-e-ishq mere pe ayan na tha
ye bhed aashkar hua kya baja hua
taze khile hain dagh ke gul dil ke bagh mein
phir mausam-e-bahaar hua kya baja hua
dil tujh pari ki aag mein simab ki misal
aaKHir kun be-qarar hua kya baja hua
kishwar mein dil ke tha amal-e-subaadar-e-aish
ab gham ka iKHtiyar hua kya baja hua
aahu-e-dil ki wahshi-e-sahra-e-aql tha
tujh zulf ka shikar hua kya baja hua
wo aaftab aaj mere qatl par 'siraj'
shab-dez par sawar hua kya baja hua
Ghazal
Jaanan pe ji nisar hua kya baja hua
Siraj Aurangabadi

