اردو हिंदी
Jaanan gae dinon ka talluq bahaal kar | Shaahi Shayari
jaanan gae dinon ka talluq bahaal kar

Ghazal

Jaanan gae dinon ka talluq bahaal kar

Mohsin Asrar

;

jaanan gae dinon ka talluq bahaal kar
aaina ban gaya hun meri dekh-bhaal kar

apni hi rahguzar ke bujhata hai kyun charagh
har raste se mera guzarna muhaal kar

ek roz aisa ho ki charaghon ke ru-ba-ru
kuchh mein hunar karun koi tu bhi kamal kar

tahwil-e-intizar mein kab tak rahegi aankh
mere supurd meri nazar ka maal kar

Dar hai kahin main dasht ki jaanib nikal na jaun
baiTha hun apne panw mein zanjir Dal kar

'mohsin' bure dinon mein naya dost kaun ho
hai jis ka pahla qarz usi se sawal kar