jaana jaana jaldi kya hai in baaton ko jaane do
Thahro Thahro dil to Thahre mujh ko hosh mein aane do
panw nikalo KHalwat se aae jo qayamat aane do
sayyare sar aapas mein Takraen agar Takrane do
baadal garja bijli chamki roi shabnam phul hanse
murgh-e-sahar ko hijr ki shab ke afsane dohrane do
hath mein hai aaina o shana phir bhi shikan peshani par
mauj-e-saba se tum na bigDo zulfon ko bal khane do
kasrat se jab nam-o-nishan hai kya honge gumnam 'safi'
naqsh dilon par nam hai apna naqsh-e-lahad miT jaane do

Ghazal
Jaana jaana jaldi kya hai in baaton ko jaane do
Safi Lakhnavi