jaan ye kah ke but-e-hosh-ruba ne le li
koi puchhe to ye kahna ki KHuda ne le li
gul-e-maqsud mein awwal to mahak thi hi nahin
aur jo thi bhi wo hasrat ki hawa ne le li
sab se pahle to siyahi meri qismat ko mili
jo bachi thi wo teri zulf-e-dota ne le li
jaan kambaKHt mohabbat mein bachae na bachi
but-e-kafir se jo chhuTi to KHuda ne le li
dam-e-aKHir but-e-bedard ka daman chhuTa
mere hathon se baDi chiz KHuda ne le li
chal basi jaan to is baat ka gham kya 'muztar'
ek amanat thi KHuda ki so KHuda ne le li
Ghazal
Jaan ye kah ke but-e-hosh-ruba ne le li
Muztar Khairabadi