jaan ye intizar kaisa hai
hijr mein bhi qarar kaisa hai
teri baaton ka zaKHm hai ab tak
dekh tera shikar kaisa hai
dil ki dhaDkan suni to wo bole
ye khanakta sitar kaisa hai
nabz ne lauTte hi puchha tha
sune dil ka dayar kaisa hai
mere aansu use tasalli den
mujh ko ye us se pyar kaisa hai
mujh mein himmat nahin lagaun dil
aur dekhun ki pyar kaisa hai
ruh ke zaKHm jism se hain ayan
pairahan tar-tar kaisa hai
phul ke haal se main waqif hun
tum batao ki KHar kaisa hai
wo rakhega mera bharam baqi
us pe ye e'tibar kaisa hai
Ghazal
Jaan ye intizar kaisa hai
Puja Bhatia