jaan ya dil nazr karna chahiye 
kuchh na kuchh us but ko puja chahiye 
dil-shigafi chahiye misl-e-qalam 
zaKHm sine ka na sina chahiye 
kaT kar sar par beDa kijiye 
tegh ke ghaTon utara chahiye 
main fida hun gar tumhein bawar na ho 
aazma dekho use kya chahiye 
kashti-e-mai ka lab-e-ju daur ho 
khelna maston niwaDa chahiye 
mast-e-sar-josh-e-shahadat kijiye 
misl-e-mai talwar khincha chahiye 
wasl mein bekar hai munh par naqab 
sharm ka aankhon pe parda chahiye 
koi ho pamal misl-e-naqsh-e-pa 
apne sar par KHak uDana chahiye 
wo jo samajhiye na samjhe ji mein hai 
apne hi par dil se samjha chahiye 
sab bure aghyar hon kuchh gham nahin 
wo hasin bizzat achchha chahiye 
aankh ka parda agar manzur hai 
chilmanen mizhgan ki chhoDa chahiye 
kya tilism-e-husn-o-ishq ai 'shad' hai 
ye kisi kaamil se puchha chahiye
 
        Ghazal
Jaan ya dil nazr karna chahiye
Shad Lakhnavi

