jaan tan ka sath de na to dil hi wafa kare
kya rah gaya hai jis ka koi tazkira kare
sab dekh sun chuka magar ab bhi safar mein hun
qadmon ko kaun rahguzar se juda kare
aashuftagi ka meri pata de mera mazar
ek gard-baad roz wahan se uTha kare
muddat hui ki bhul gaya mujh ko shahr-e-yar
chup lag gai mujhe to wo bechaara kya kare
tark-e-safar pe rah se ye bad-dua mili
bistar mein tere panw ka talwa jala kare
sakta sa lag gaya hai mere yar ko 'suhail'
aankhen hain ashk-bar na dil hi dua kare
Ghazal
Jaan tan ka sath de na to dil hi wafa kare
Suhail Ahmed Zaidi