jaan tak kar di fida lekin sila kuchh bhi nahin
aap ki nazron mein kya meri wafa kuchh bhi nahin
chhin lin KHushiyan meri aankhon se meri nind bhi
zindagi tu ne mujhe ab tak diya kuchh bhi nahin
sainkaDon mujh par sitam karta raha wo umr-bhar
phir bhi main ne aaj tak us se kaha kuchh bhi nahin
de rahe hain galiyan ya phir duaen mujh ko aap
kya kahun ab aap se main ne suna kuchh bhi nahin
aap ki baaton mein aa kar kho diya dil ka sukun
zindagi mein dekhiye meri bacha kuchh bhi nahin
Ghazal
Jaan tak kar di fida lekin sila kuchh bhi nahin
Anis Dehlavi