jaan-soz ghamon ka kahin izhaar nahin hai
zindan mein bhi zanjir ki jhankar nahin hai
har shaKHs ke chehre pe hai kuchh aisi alamat
jaise wo koi phul hai talwar nahin hai
sab gahre samundar mein khaDe soch rahe hain
hum mein koi suraj ka parastar nahin hai
zaKHmon ka lahu ho ki charaghon ka ujala
koi bhi mere shahr mein bedar nahin hai
main tujh se bichhaD kar yahi samjha hun ki duniya
diwar to hai saya-e-diwar nahin hai
KHush-rang zuleKHaon ke bazar mein 'jazib'
koi gham-e-yusuf ka KHaridar nahin hai
Ghazal
Jaan-soz ghamon ka kahin izhaar nahin hai
Jazib Quraishi